हिंदी शोध संसार

शुक्रवार, 11 जनवरी 2008

अमेरिकी साम्राज्य के रक्तबीज

iraak MEIN 2003 MEIN HUE AKRAMAN KE BAD SE VHAN 1,51,000 LOG MARE GAE । YE AANKDE SANYUKTA RASHTRA KE SARVEKSHAN KE E REPORT SE SAMNE AAYE HAIN। IS SARVEKSHAN KE DAURAN EK SARVEKSHANKARTA KEE HATYA KAR DEE GAYEE, JABKI KUCH KARMACHARIYON KAA APHARAN KAR LIYA GAYA THA। IS SARVEKSHAN SE ITAR AANKDON PAR GAUR KAREN TO KUCH AJENSIYON KEE REPORT MEN MARNE VALON KEE SANKHYA CHHAH LAKH KE KAREEB BATAYA GAYA। VIBHINNA ANUMANON AUR ADHYAYANON PAR ADHARIT AANKADON KE E BAAT CHHOD BHI DEN TO 2003 KE BAAD SE AB TAK SHAYAD HEE KOI AISA DIN GUJRA HO, JIS DIN DESH KE KISI NA KISI SHHAR MEN HAMLE NAHIN HUE HON AUR USMEN LOGON KEE JAAN NAHEEN GAYE HON।

AMERICA KE RASHTRAPATI GEORGE BUSH NE APNEE JID AUR HATHH PAR LAKHON LOGON KO MAUT KE MUNH MEIN JHONK DIA। JIS JANSANHAR KE HATHIYAR KE NAAM PAR IRAQ PAR HAMLA KIYA GAYA। VO CHEMICAL, BAAYOLOJICAL AUR PARMANOO HATHIYAR KAA EK TUKDA BHI IRAQ KE PAAS NAHI THA। IRAQ KE RASHTRAPATI SADDAM HUSAIN KO JHUTHE MUKADME MEN PHANSAKAR BADE HEE GAIR-KANOONI DHANG SE PHANSI KE FANDE SE LATKA DIYA GAYA।

DESH MEN LOKTANTRA KEE STHAPNA AUR SHANTI BAHALEE KE NAAM PAR DESH KO GRIH YUDDHA AUR JATIYA SANGHARSHA KE ANTHEEN DALDAL MEIN DHAKEL DIYA GAYA। AAJ IRAQ JIS ASTHIRTA KEE DAUD SE GUJAR RAHAA HAI, ISKE LIYE KAUN JIMMEDAAR HAI? MANVATA KE KHILAF APRADH LE LIYE BUSH AUR USKE PRASHASAN KO NYAY KE KATHAGHARE MEIN KYON NAHIN KHADA KIYA JATA?

EK SAMAY THA JAB ROOS AFGHANISTAN MEN ROOS KO HARANE KE LIYE AMERICA NE AATANKVADIYON KO SAHARA DIYA। AFGHANISTAN SE ROOS KO HATNA TO PADA, LEKIN UNHIN AATANKVADIYON NE AMERICI SAMRAJYAVAD KE PRATEEK VARLD TRADE CENTRE KO JAMINDOJ KAR DIYA। BHARAT DASHAKON SE PAK-PRAYOJIT AATANKVAD KEE MAAR JHEL RAHAA hai। अब इन्हीं आतंकवादियों ने पाकिस्तान को निशाना बनाना शुरू कर दिया है। भारत के खिलाफ पाकिस्तान को अमेरिका ने हमेशा इस्तेमाल किया है। पाकिस्तान के शासक खुद सत्ता पर काबिज रहने के लिए कट्टरपंथियों का साथ दिया, आज कट्टरपंथी उसी के लिए भस्मासुर बन चुके हैं। अमेरिकी साम्राज्यवाद के रक्तबीज आज दुनिया के लिया खतरा बने हुए हैं।

1 टिप्पणी :

  1. ना कोइ रहा है , ना कोइ रहेगा, ना कोइ रहा है । पाकिस्तान का बनना एक बहुत बडी दुर्घटना थी । जब तक पाकिस्तान और हिन्दोस्ताँ लडते रहेंगे अमेरिका की ताकत बढती रहेगी । हिन्दोस्ताँ और पाकिस्तान फिर से एक हो जाए तो हम शक्तीशाली हो सकते है ।

    जवाब देंहटाएं